|
| LYRICS OF SOME NAATS | |
| | |
Author | Message |
---|
Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:09 | |
| Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma
Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai Mere Nabi Se Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Aur Kissi Jaanib Kyun Jayein Aur Kissi Ko Kyun Dekhein Apna Sab Kuch Gumbad-e-Khizra Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Pust Woh Kaisay Ho Sakta Hai Jiss Ko Haq Ne Buland Kiya Dono Jahan Mein Unka Charcha Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Jiss Ke Fayz Se Bunjar Seeno Ne Shadabi Payi Hai Mauj Mein Woh Rehmat Ka Darya Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Batlado Ye Har Dushman-e-Deen Ko Ghairat-e-Muslim Zinda Hai Deen Per Mar Mitne Ka Jazba Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Inke Dar Se Sab Ho Aaye Jaa Na Saka Tou Aik Sabhi Ye Ke Aik Tasweer-e-Tamanna Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Jinn Aankhon Se Taiba Dekha Woh Ankhein Betaab Hai Phir Inn Ankhon Mein Aik Taqaza Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:10 | |
| Haajiyo Aawo Shahenshah Ka Roza Dekho
Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho
Rukhne Shaami se miti wah'shate shaame gurbat Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho
Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho
Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho
Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho
Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho
Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho
Jum'ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho
Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho
Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:11 | |
| Mujhe Dar pay phir bulana, Madani Madine Wale Mae ishq bhi pilana, Madani Madine Wale
Meri aankh me samana, Madani Madine Wale Banay dil Tera thikana, Madani Madine Wale
Teri jab ke deed hogi, jabhi meri eid hogi Mere Khwaab me Tum ana, Madani Madine Wale
Mujhe sab sata rahe hain, mera dil dukha rahe hain Tumhi hausla badhana, Madani Madine Wale
Mere sab azeez chootay, mere yaar bhi to roothay Kaheen Tum na rooth jana, Madani Madine Wale
Mai agar chay hoon kamina, Tera hoon Shahe Madina Mujhe seenay se lagana, Madani Madine Wale
Tere Dar se Shaha behtar, Tere aastaan say badhkar Hai bhala koee thikana, Madani Madine Wale
Tera Tujh se hoon sawali, Shaha phairna na khali Mujhe Apna Tum banana, Madani Madine Wale
Yeh mareez mar raha hai, Tere haath me Shafa hai Ai Tabeeb jald aana, Madani Madine Wale
Tu hi Anbiya ka Sarwar, Tu hi do jahaan ka Yawar Tu hi Reh-baray zamana, Madani Madine Wale
Tu hai be-kasaun ka Yawar, Ai mere ghareeb parwar Hai Sakhi Tera Gharana, Madani Madine Wale
Tu Khuda ke baad behtar, sabhi say mere Sarwar Tera Haashmi gharana, Madani Madine Wale
Teri farsh par hukumat, Teri Arsh par hukumat Tu Shahinsha e Zamanah, Madani Madine Wale
Tere Khalq sab say A'ala, Tera Husn Sab say pyara Fida Tujh pay sab zamanah, Madani Madine Wale
Kahoon kis say aah jakar, sunay kaun mere dil-bar Mere dard ka fasana, Madani Madine Wale
Ba-A'ata e RABB daem, Tu hi rizq ka hai Qasim Hai Tera sab aabo-danah, Madani Madine Wale
Mai ghareeb bay-sahara, kahaan aur hai guzara Mujhe Aap hi nibhana, Madani Madine Wale
Yeh karam bada karam hai, Tere haath me bharam hai Sar-e-hashr bakhsh-wana, Madani Madine Wale
Kabhi jau ki moti roti, to kabhi khajoor pani Tera aisa sada khana, Madani Madine Wale
Hai chataee ka bichona, kabhi khaak hi pay sona Kabhi haath ka sar-hana, Madani Madine Wale
Teri saadgi pay lakho, Teri aajizi pay lakho Ho salaam-e-ajizana, Madani Madine Wale
Mile naza me raahat, rahoon qabr me salamat Tu azaab say bachana, Madani Madine Wale
Ai Shafi e Roz e mehshar! hai gunah ka bojh sar par Mai phasaan mujhe bachana, Madani Madine Wale
Gup andheri qabr me jab, mujhe chor kar chale sab Meri qabr jug magana, Madani Madine Wale
Mere Shah! waqt e rukhsat, mujhe meetha meetha sharbat Teri deed ka pilana, Madani Madine Wale
Pas marg Sabz Gumbad, ki Huzoor thandi thandi Mujhe chaoon me sulana, Madani Madine Wale
Mere Walidain mehshar mein, go bhool jae Sarwar Mujhe Tum na bhool jana, Madani Madine Wale
Shaha tangi badi hai, yahaan dhoop bhi kadi hai Shahe Hauz e Kauthar aana, Madani Madine Wale
Mujhe aafatun ne ghera, hai musibataun ka dayra Ya Nabi madad ko aana, Madani Madine Wale
Koee is taraf bhi phera, ho ghamaun ka door andhera Ai Sarapa Noor aana, Madani Madine Wale
Kooe pae bakht war gar, hai sharaf shahi se badhkar Teri Na'al e Pak uthana, Madani Madine Wale
Mera seena ho Madina, mere dil ka aabgina Bhi Madina hi banana, Madani Madine Wale
Ai Habeeb e Rabbe Bari, hai gunah ka bojh bhari Tumhi hashr me churana, Madani Madine Wale
Meri adatein ho behtar, banu Sunnatun ka paikar Mujhe muttaqi banana, Madani Madine Wale
Shaha aisa jazbah paoon, ke mai khoob seekh jaoon Teri Sunnatein sikhana, Madani Madine Wale
Tere Naam par ho qurbaan, meri jaan jane jana Ho naseeb sar katana, Madani Madine Wale
Teri Sunnatun par chalkar, meri rooh jab nikal kar Chale Tum gale lagana, Madani Madine Wale
Hai muballigh AQA jitne, karo door unse fitne Buri maut say bachana, Madani Madine Wale
Mere Ghouse ka waseela, rahe shaad sab qabeela Inhe khuld me basana, Madani Madine Wale
Mere jis qadar hai ahbaab, inhe karde Shaha betaab Milay ishq ka khazana, Madani Madine Wale
Meri anay wali naslein, Tere Ishq hi me machlein Unhe nake tum banana, Madani Madine Wale
Milay Sunnataun ka jazbah, mere bhai choray Maula Sabhi Dadiyaan mu'ndhaana, Madani Madine Wale
Mere jis qadar hai behne, Sabhi kaash burqa pehne Ho karam Shahe zamana, Madani Madine Wale
Do jahaan kay khazanay, diye haath me Khuda ne Tera kaam hai lutana, Madani Madine Wale
Teri gham me kaash Attar, rahe har ghadi giraftaar Gham e maal say bachana, Madani Madine Wale
Written by Abu Bilaal Allama Maulana Ilyas Attar Qadri Damat Barkatuhumul Aliyah | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:12 | |
| Ajj sik mitraan di wadheri aey Keyoon dilrhii udaas gharii aey Loon loon wich showq changerii aey Ajj nennan laayaan keyon jarhyaan
Mukh chand badar sha'shaanii aey Mathey chankey laat nooraanii aey Kaalii zulf te akh mastaanii aey Makhmoor akheen han mad bharyaan
Is soorat noon main jaan aakhaan Jaanaan kih jaan-e-jahaan aakhaan Sach aakhaan te rab de main shaan aakhaan Jis shaan theen shaanaan sab banyaan
Aehaa soorat shaalaa pesh-e-nazar Rahey waqt-e-naz'a te roz-e-hashar Wich qabar de pul theen jad hosii quzar Sab khotiyaan thiisan tadh kharyaan
Laaho mukh theen mukhttat burde Yaman Man bhaanwrii jhalak dekhaa'o sajan Ohaa mithiyaan gaaleen alaao mithan Jo hamraa waadii san karyaan
Aenaan sikhdiyaan te kurlandiyaan te Lakh waarii sadqey jandiyaan te Aenaan burdiyaan muft wekaandiyan te Shaalaa wat wi aawan oh gharhyaan
Subhan'Allah maa ajmalaka Maa ahsanaka maa akmalaka Kithey Mehr Ali kithey terii sanaa gustakh akheen kithey jaa larhyaan | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:13 | |
| Aka Aka bol bandéh Aka Aka bol
Zikr é Nabi tu karta jaa
Zikr é Nabi tu karta ja
Yé zikr barah anmol
Aka Aka bol bandéh Aka Aka bol
Aisaa din bi aa jaé Sarkaar ké dar pé bétéh ho
Sarkaar ké dar pé bétéh ho
Lab hamosh zabaan ban jaé
Aansoo arza karté ho
Aisaa din bi aa jaé Sarkaar ké dar pé bétéh ho
Sarkaar ké dar pé bétéh ho
Lab hamosh zabaan ban jaé
Aansoo arza karté ho
Un ké dar pé roné waalé
Un ké dar pé roné waalé
Dil sé kuch to bol
Aka Aka bol bandéh Aka Aka bol
Sarkaar é Do Alam Pyaaré Aka
Jidar sé guzraa karté té
Shajr gawaahi détéh té
Aur pathar kalima partéh té
Pathar kalima partéh té
Sarkaar é Do Alam Pyaaré Aka
Jidar sé guzraa karté té
Shajr gawaahi détéh té
Aur pathar kalima partéh té
Pathar kalima partéh té
Noor é Khuda ké Munkir ab to
Noor é Khuda ké Munkir ab to
Ab apni aankhé kol
Aka Aka bol bandéh Aka Aka bol
Aow chalo deewano saaréh shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté hai
Méri kya aukaad hai sab hi un ké dar say paltay hai
un ké dar say paltay hai
Aow chalo deewano saaréh shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté hai
Woh Madina jo Konein ka taaj hai
Jis ka deedar momin ki Me'raaj hai
Zindagi mai Khuda har Musalmaan ko
Woh Madinah dika dé to kya baat hai
Aow shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté hai
Pir Karm ho gya mai Madinéh chala
Joomta joomta mai Madinéh chala
Méré Aka ka dar ho ga péshé nazar
Méré Aka ka dar ho ga péshé nazar
Chahiyé aur kya mai Madiné chala
Un kay Minaar par Gumbad é Sabz par
Minbar é Noor par jab uté gi nazar
Kya suroor ayé ga mai Madinéh chala
Aow shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté hai
Aow chalo deewano saaréh shayr é Madinah chalté hai
Shayr é Madinah chalté hai
Méri kya aukaad hai sab hi un ké dar say paltay hai
un ké dar say paltay hai
Ghairo ko bi déthé haiLong
Ghairo ko bi déthé hai
Woh bin maangé bin mol
Aka Aka bol bandéh Aka Aka bol
Jab sé hosh sambaala hai mai unki Naat é partha hu
unki Naat é partha hu
Gustaahi na ho jaé mai sambal sambal ké chalta hu
sambal sambal ké chalta hu
Maa ki du'a o ka sadqa hai Long
Maa ki du'a o ka sadqa hai
Aisa mila mahol
Aka Aka bol bandéh Aka Aka bol
Rashid naat é likhna parna hai yé barah aizaar
hai yé barah aizaar
Un key karm ké sadqéh hi se unchi hé parwaar
unchi hé parwaar
Naat é Nabi tu sunaé ja
Naat é Nabi tu sunaé ja
aur kaano mai ras gol
Sal Allahu Alaihi wassalam | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:13 | |
| Mawla Ya Salle Wasallim Daaeman Abaada(n) A'la Habibi ka Khayril Khalqi Kullihimi
Alhumdo Lillaahe Munshil Khalqe Min Adami Shum Mas Salaato Alal Mukhtaare Fil Qadami
Muhammadun Sayyedul Kawnaïni Wa-thaqalaïni Wal Fareeqaïni Min Urbiw Wa Min Ajami
Amin Tazak Kore Jiraanim Bezi Salaami Mazajta Dam-An Jara Mim Muqlatim Bedami
Fama Le Ay Nay Ka In Qultak Fofa Hamata Wama Le Qalbe Ka Inna Qultastafiq Yahemi
Fa Kayfa Tunkero Hubbam Ba'ada Ma Shahedat Behi Alayka Udulud Damaey Was Saqami
Astagferul-Laaha Min Qawlim Bela Amaalin Laqad Nasabto Behi Naslal Lezi Ooqomi
Nabiyyonal Aameerun Naahi Falaa Ahadunn Abarra-Fi Qawli La Minhu Wa laa Na'Aami
Huwal Habibul-Lazi Turja Shafaa'-Atohu Li Kulli Hawlim-Minal Ahwaali Muqtahimi
Da'aa Ilal Laahee Fal Mustamsi Kuna Bihi Mustamsi Kuna Be Habli Ghaïrinn Munfaswimi
Kaz Zahre Fi Tarafin Wal Badre Fi Sharafin Wal Bahre Fi Karamiw Wad Dahre Fi Hemami
Ya Akramal Khalqe Maliman Aluzo Behi Siwa Ka Inda Hululil Hadesil Amami
Wal Aale Was Sahbe Summat Tabe-Eena Lahum Ahlittoka Wannoka Wal Hilmi Wal Karami
Summar Rida An Abi Bakrinw Wa An Umarinw Wa An Usmana Wa An Aliyyiw Zil Karami
Faqann-Nabeeyena Fi Khalqinw-Wafi Khulukinn Wa Lam Yuda Nouhou Fil Ilminw-Walaa Karami
Faghfir Lana Shidiha Waghfir Li Qari-Iha Sa'Al Tukal Khaïra Ya-Zal Judi Wal Karami
Ya Rabbi Bil Mustafa Balligh Maqasedana Waghfir Lana Ma Madwaya Wasi Al-Karami | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:14 | |
| Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon mein Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein
Mujhe apni rehmat se to apna karle Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein
Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon Tere Dar se apna guzaaraa karon mein
Khudara ab aawo ke dam he labo par Dame wapasi to nazaara karoon mein
Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke Tere sar se Sadqaa utaara karoon mein
Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein
Tera Zikr lab par khuda dil ke andar Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein
Dame wapasi tak tere geet gaoon Muhammad Muhammad phukaaraa karoon mein
Tere dar ke hote kahan jawoon pyare Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein
Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein
Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein
Khudaa kher se laye woh din bhi Noori Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:16 | |
| Falak ke nazaro zameen ki baharo Sub Eidein manao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Uttho bay saharo chalo gham ke maaro khabar ye sunao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Anokha niraala woh zee shaan ayaa Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa Aray baadshaho aray kaj kula'ho Nigahein jhukao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka Ye Meelad hai Sarwaray Ambiya ka Nabi ke gadao sub ek doosre ko Khabar ye sunao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke fizaun mein naghmaat Salle'Alla ke Daroodaun ke gajrey salamaun ke tohfay Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huwaa char su Rahmataun ka ba'sayra Ujaala ujaala sawera sawera Halima ko pohnchi khabar Aaminah ki mere ghar main aao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Kahaan mai Zahuri kahaan unki batein Karam hi karam hain ye din aur ratein Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao yahi kehte jaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:17 | |
| mujh peh mowla ka karam hai unki naatein parta hun
Daman apna Rab ki Rahmat sey mey har dam bharta hun
mey sadqay Ya Rasulullah, Mey Sadqay Ya Habeeballah
Dhoom unki naat Khwani ki machatey jaaein gey
Ya Rasulullah ka nara lagatey jaaein gey
Naat khwaani mowth bhi ham sey chura sakti nahi
Qabr mey bhi Mustafa keh geet gathay jaaein gey
Kitna bara hai mujh peh yeh ehsaaney Mustafa
kehtay hai lowg mujh ko sana khwanay Mustafa
mujh peh Mowla ka karam hai, Unki naatein partha hun
Daman apna Rab ki Rahmat sey mey har dam bhartha hun
mey sadqay Ya Rasulullah, Mey Sadqay Ya Habeeballah
Meray baghshish paas apnay kuch nahi iss key siwa
umr bhar naatein sunein gey aur sunatey jaaein gey
Naat khwaani ka nasha nas nas mey aysa cha gaya
qabr mey bhi geet Obaidam Mustafa keh gaaein gey
koi guftago ho lab par Tera naam agaya hai
Tera zikr karte karte yeh maqaam agaya hai
jisey pee keh shaykh Saadi Balaghal ula pukaray
Balaghal ula bikamailihi, kashafatuja bi jamalihi
hasunat jami-o hisaalihi, Sallu alaihi wa aalihi
jisey pee keh shaykh Saadi Balaghal ula pukaray
meray daste naat khwan mey wohi jaam agaya hai
Jitna diya Sarkar ney mujh ko utni meri awkaat nahi
yeh tho karam hai Unka warna mujh mey tho aysi baat nahi
ghor tho kar Sarkar ki thuj peh khaas inayat hai
Kauser thu hai unka sana khwaan yeh ma'muli baat nahi
Tera wasf bayan ho kis sey Teri kown karey ga badahi
is ghar dey safar mey ghum hai Jibr'il-e-ameen ki rasaee
Ay Raza khud sahibay Qur'an hai madha hai Huzoor
Thuj sey kab mumkin phir midhat Rasulullah ki
Gham nahi chowr dey yeh sara zamana mujh ko
meray Aqa tho hai seenay sey laganay keh liya
Bakhsh di naat ki dolat meray Aqa ney mujhay
kitna piyara hai waseelah Sarkar ko panay keh liyey
Seenay mey badha hai Teri naaton ka khazana
Alam mey luta ta hun kamaee Teray dar ki
mey sadqay Ya Rasulullah, Mey Sadqay Ya Habeeballah
| |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:19 | |
| Sarkaar(s.a.w)Yeh Naam Tumhara Sab Namoon Say Hay Piyara Iss Naam Say Chamka Sooraj Aur Chamka Chaand Sitara
Hua Her Suu Khoob Ujala Hua Roshan Alam Sara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara Jab RAB-e-Qadeer Tumhari Keray Khud hi Midha saraye Her Ek Kay Laboon Pay Phir To Tareef Tumhari Aye Sadd Shuker Kay Zikr Tumhara Rahay Her Dam Wird Hamara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara
Her Waqt Per Hum Nay Dekha Hay Tumhain To Ma'el Dar-e-Pak Pay Aya Jab Bhi Kesa Hi Koi Sa'el Ay Rehmat-e-Alam Tum Nay Usay Ker Hi Leya Hay Gawara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara
Sa'el Hoon Teray Dar Ka Milay Mujh KO Bheek Karam Ki Rekh Laaj Ay Mere Aqa(s.a.w)Iss Mere Chashm-e-Naam Ki Keroon Gumbad-e-Ghazra Ka Phir Ankhoon Say Apni Nazara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara
Jab Roz-e-Qayamat Her Aik Bolay Ga Nafsi Nafsi Aur Daad Kisi Ki Day Ga Mehshar Main Jab Na Koi Aisay Main Ata Ho Mujh Ko Ay Shahfa-e-Hasher Sahara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara
Lehroon Nay Meri Yeh Khashti Her Janib Say Hay Gayhri Sarkaar(s.a.w)Khaber Lo Meri Sarkaar(s.a.w)Khaber Lo Meri Milay Mujh Ko Afeeyat Ka Mere Aqa(s.a.w) Jald Kinara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara
Jo Mujh Per Beet Rahi Hay Wo Kiss Ko kesay bataoon Aur Apnay Dil Ki Hikayat Bhala Kiss Ko Ja Ker Sunaoon Tum Mehram-e-Raaz Ho Mere Meri DaadRasi Ho Khudara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara
Meri Arz Khudara Sunn Lo Mere Haal Pay Mujh Ko Na Choro Zara Apni chashm-e-Inayat BayBass Ki Teraf Bhi Moroo BayKass Ka Tum Ho Sahara BayCharay Ka Tum Ho Chara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara
Do Apnay Ishq Ki Dolat Tujhay Apni Aall Ka Sadqa Yeh Riaz Faqeer Azal Say Tere Dar Ka Hi HAy Shaha Tere Dast-e-Aata Kay Agay Daaman Hay Iss Nay Pasara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara... | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:20 | |
| TOO SHAM-E-RISAALAT HE AALAM TERA PARWAANA TOO MAA HE NABUWAT HE AI JALWA-E-JAA NAA NA
You are the Torch of Prophethood, the Universe your ardent devotees. You are the Bright Moon of Messengership, O'Manisfestation of the Beloved
KHAATE HE TERE DAR KA PEETE HE DAR KA PAANI HE TERA PAANI DAANA HE TERA DAANA
From your Court we eat, and from Your Court we drink. The water in reality is your water; the food in reality is your food
JO SAAKI-E-KAUSAR KE CHEHRE SE NAQAAB UT'HE HAR DIL BANE MAIKHAANA HAR AANKH HO PAIMAANA
If the blessed face of the Distributor of Kauthar (drink of Jannah) were to be unveiled, Then every heart will be stimulated (spiritual) and all eyes who see (this) will be lost in (its love)
TH'E PAAWO ME BEKHUD KE CHAALE TO CHALAA SAR SE HOSHYAAR HE DIWAANA HOSHYAAR HE DIWAANA
His (the devotees) feet were covered with blisters, so he walked on his head. Intelligent is the Devotee, Intelligent is the Devotee
SANGE DAR JAANA PAR KARTA HOO JABEEN SAA'EE SAJDA NA SAMAJ NAJDI SAR DETA HOO NAZRAANA
When I lower my forehead, in the Court of My Beloved. Do not think of this as a Prostration O' Najdi (Wahabi) For I am presenting my head as an offering
AABAAD ISSE FARMA WEERAN HE DILLE NOORI JALWE TERE BA JAA'E ABAAD HO WEERANA
Occupy this heart, for the heart of Noori is unoccupied. Let your manifestations be instilled therein, causing that which is unoccupied to be become occupied.
SARKAAR KE JALWO SE ROSHAN HE DIL'LE NOORI TAA HASHR RAHE ROSHAN NOORI KA YE KAASHAANA
Through the Manifestations of the beloved Prophet (sallal laahu alaihi wasallam), the heart of Noori is radiant. Until Qiyaamah, may this abode of Noori be forever glowing
WRITTEN BY BY GAUSUL WAQT Huzoor Mufti-e-Azam Hind (radi Allahu anhu) | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:22 | |
| Main to khud Unke dar ka gada hoon, Apne AQA ko main nazr kya doon Ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai, Varna qadmon mein aankhein bichha dooon
Aane waali hai unki tareeq, Phool naaton ke ghar ghar saja doon, Mere ghar mein andhera bohot hai, Apni palkon pe shamme jala doon
Rauza-e-pak peshe nazar hai, Saamne mere AQA ka dar hai, Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai, Tumko lafzon mein kaise bata doon
Mere aansu bahut kheemti hain, Inse waabasta hai unki yaadein, Inki manzil hai khak-e-madeena, Ye gauhar yun hi kaise luta doon
Main faqat Aap ko jaanta hoon, Aur usi dar ko pehchanta hoon, Is andhere mein kisko pukaroon, Aap farma'aein kisko sada doon
Qaafilay jaa rahe hain Madeene, Aur hasrat se main tak raha hoon, Ya lipat jaoon qadmon se unke, Ya qaza ko main apni sada doon
Meri bakhshish ka saamaan yahi hai, Aur dil ka bhi armaan yahi hai, Ek din Unki khidmat mein jaakar, Unki naatein unhi ko suna doon
Mujhko IQBAAL nisbat hai unse, Jinka har lafz jaan-e-sukoon hai, Main jahaan naat apni suna doon, Saari mehfil ki mehfil jaga doon | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:24 | |
| Sallallahu Alaika Ya Rasolullah Wa Sallam Alaika Ya Habeeb Allah Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah Tumhare waaste RABB ne yeh A'alam sajaya hai Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai Sallallahu Alaika Ya Rasoolullah Wala Alika Wa As-habika Wa Azwajika Ya Noorullah | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:24 | |
| Amal kaam aya mehshar me, na taqwa kaam aya Agar kuch kaam aya, to Durood aya Salaam aya
Mili aankhaun ko thandak, aur sukoon e dil tamaam aya Muhammad Mustafa ka jab kabhi hontaun pe naam aya
Shabe Milaad Anwaar e Mustafa ke khair maqdam ko Idhar Ghare Heera aya, udhar Bait e Haram aya
Durood aisa waseelah hai, ke har maqsad bar ajae Yeh sauda naqd ghar baithe, hamay kya sasta daam aya
Huwa hargiz na dil mael, kisi mina wa saghar par Magar dil agaya jab, saamne kausar ka jaam aya
Tasha'hud me hi kyun tujh ko, namazi kaif hai itna Agar chay Sajdah bhi aya, Ruku aya Qayaam aya
Hai kehne me bhi yeh Naam e Muhammad, kis qadar shireen Chimat jatay hai dono lab, Muhammad ka jo Naam aya
"Ana Basharum" Shariat hai, Tariqat "Aiyukum Misli" Samajh me kuch na, Raaz e Azmate Khairul Anaam aya
Salaam AQA pay padhne se, gurezaan kyun hai kuch ahbaab Qur'an me jab ke Hukum e "Sallimu" bil iltizaam aya
Buland awaaz "Labbaik" Rawa Kabah hai lekin Yahaan "La Tarfaoo Aswatakum" ka ab maqaam aya
Madina jane walaon ki suna hai fehrist banti hai Zara lena khabar iss me kaheen apna bhi naam aya
Pukare Ahle Mehshar dekhte hi Sufi Azam ko Shafi'il Muznibeen ka ghaliban koee ghulaam aya | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 10:24 | |
| | |
| | | muhammad khurshid ali Moderator
Posts : 371 Join date : 05.12.2009 Age : 42 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Mon 28 Dec 2009 - 17:30 | |
| | |
| | | muhammad khurshid ali Moderator
Posts : 371 Join date : 05.12.2009 Age : 42 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Mon 28 Dec 2009 - 17:31 | |
| | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Tue 29 Dec 2009 - 9:48 | |
| | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Tue 29 Dec 2009 - 9:48 | |
| Huzoor a'gayai hain
Falak ke nazaro zamin ki baha'roh sub Eid'ai manawo Huzur(Aalaihim Salaam)a'gayai hain
Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain Huzoor a'gayai hain, Huzoor(Aalaihim Salaam) a'gayai hain
Ut'toh bai saharoh chalo gam kai maaro khabar yai su'naawo Huzoor(Aalaihim Salaam) a'gayai hain
Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
Anokha niraala Woh zi shaan a'ya Woh saarai Rasu'lo ka Sultan(Aalaihim Salaam)a'ya
Aray baadshaho arai kaj kula'ho Nigha'hain jhukawo Huzur(Aalaihim Salaam) a'gayai hain
Sama hai sanayai Habibe Khuda(Aalaihim Salaam)ka Ye Milaad he Sarwarrai Umbiya(Aalaihim Salaam) ka
Nabi ke ghadawo sub aiq du'sarai ko khabar ye suna'wo, Huzoor a'gayai hain
Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
Hawaa'o main jazbaat hain marhaba ke fizaa'o main naghmaat Salle'alla ke
Daruudo ke gajrey salaa'mo ke tofai gulaamo sajaa'o, Huzoor(Aalaihim Salam) a'gayai hain
Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
Huwaa char su Rah'mato ka ba'sera Ujaala ujaala sawera sawera
Halima ko pohnchi khaber Aaminah ki Mairay ghar main a'woh, Huzoor a'gayai hain
Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain Huzur a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain
Kahaan mai Zahuri kahaan Unki ba'tain Karam hi karam hain yai din aur ra'tai
jahaa par bhi ja'oo dilloko jagao yahi kehte jaao, Huzur(Aalaihim Salaam)a'gayai hain
Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain Huzoor a'gayai hain, Huzoor a'gayai hain | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Tue 29 Dec 2009 - 9:49 | |
| | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Tue 29 Dec 2009 - 9:49 | |
| MERE AAQA AAO K MUDAT HOI HAIMere Aaqa Aao ke muddat hoi he Teri rah mein Akhiyan bichate bichate Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein Bare din hova ghar sajate sajate Yeh dil jab se Ishq e Nabi mein para he Na din ki khabar he na shab ka pata he Ab tu basarat be kam ho ga’ey he Teray gham mein aansu bahate bahateNa Ka’be se matlab na Masjid ki chahat Faqat dil mein Hakim tamanna yehi he Mil ja’ay Naqsh e kafe Pa’ay Ahmed Tu mar ja’ain sar jukate jukate Mere lab pe Mola na koi sadaa he Faqat mujh nikamme ki yehi dua he Meri sanse nikle dar e Mustafape Gham e dil Nabi ko sunate sunateMera yeh he Imaan, mera ye yaqeen he Mere Mustafa sa na koi Haseen he Rukh un ka dekha he jab se Qamar ne Nikalta he munh ko chupate chupate Qiyamat ka manzir bara pur khatar he Magar Mustafa ka jo diwana ho ga Woh pul se guzar ja’ay ga wajd karte Na’ra Nabi ka lagate lagateYe mana k aani ik din qaza hai Magar sosto Tum se ye ik iltijaa hai Shahere Mohammad ki her ik ghali se Janaza Oyhana gomate gomate Mere Aaqa Aao ke muddat hoi he Tere rah mein Akhiyan bichate bichate Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein Bare din hova ghar sjate sajate | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Tue 29 Dec 2009 - 9:50 | |
| NABIKA ONCHA NAAMNabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam Mairay kismat jagane ko, Nabi ka naam kaafi hay, Hazaaron mitane ko, Nabi ka naam kaafi hay. Ghamoo ki dhoop ho ya phir hawaein tayz chaltee ho, Mairay iss aashiyaane ko, Nabika naam kaafi hay, Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha NaamKhoshi ho ya koi gham ho, Nabi ka naam layta ho, Kay har ik gham mitane ko, Nabi ka naam kaafi hay, Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam Jo pocha Piyaare Aaqa ne, kaha ye siddique Akbar(Radi Allah Anhu) ne, Mairay saaray gharane ko, Nabi ka naam kaafi hay, Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha NaamSoolagti aag par Habshi, kay honton say sadaa aa'ee, Maire bigree banaanay ko, Nabi ka naam kaafi hay, Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam Yhein kehta hay Qaiser bhe, yahi sab log kehtay hain, Kay iss saaray zamaanay ko, Nabika naam kaafi hay, Nabika Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Tue 29 Dec 2009 - 9:50 | |
| BAKHTE KUFTAA NE MJHE ROZE PE JANE NA DIYABakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya Ah qismat mujhe dunya k ghamoo ne roka Ha'ay taqdeer k Taiba mujhe jane na diyaPaoon thak jaate agar paoon banata sar ko Sar k bal jata magar zof/zok ne jane na diya Sar to sar jaan se jane ki mujhe hasrat he Mot ne ha'ay mujhe jaan se jane na diyaSharbat e Deed ne or aag laga de dil mein Tapsh e dil ko barhaya he, bujane na diya Ab kahaan jae ga Naksha Tera mere dil se Tehh me rakha he, Ise dil ne gumane na diyaSajda karta jo mujhe is ki ijazat hoti Kya karoon Izn mujhe is ka Khuda ne na Diya! Mere a'amal ka badla to Jahannum hi tha Mein to jaata, mujhe Sarkar ne jane na diyaMere a'amal e sayah ne kiya jeena dobar Zahr Khata, Tere Irshad ne khane na diya Nafs e badkar ne dil par yeh qiyamat tori Amal e naik kiya b to chupane na diyaOr Chamakti si Ghazal koi parho Ay Noori Rang apna abhi jamn e Shu'ara ne na diya Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| | | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Tue 29 Dec 2009 - 9:52 | |
| | |
| | | Sponsored content
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS | |
| |
| | | | LYRICS OF SOME NAATS | |
|
Similar topics | |
|
| Permissions in this forum: | You cannot reply to topics in this forum
| |
| |
| |