|
| LYRICS OF SOME NAATS | |
| | |
Author | Message |
---|
Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 5:20 | |
| MUADAT SE MERE DIL MEIN HAIMudat se maire dil mein hai Armaane Madina Roze pe Bula lejeye Sultaane Madina Ay kaash pohonch kay Dar-e- Janane Madina Ho jaon mein soo jaan se qurbaan-e-Madina Aate hein muqadar kay sikander Tere Dar per Bay izn ho kaise koi mehmaan-e-Madina Aag aise laga dejeye qalb aur jhigar mein Rota rahoon tarpa karoon Ay Jaan-e-Madina Gulzaar yahan kay ise ache nahi lagte Aankhoo mein samae hein Biyabaan-e-Madina Ab sindh kay jungle mein mira jee hi nahi lagta Bus mujh ko bulalejeye Gulistaan-e-Madina Duniyaa kay nazaare hamein ik ankh na bhaein Nazroo mein basein kash! Biyaaban-e-Madina London koi japan chala maal kamane Diwaana chala sowe Biyabaan-e-Madina Jab khod hi qasam khai hai Quraan-e-Mubeen ne Kis tarah biyaan koi kare Shaan-e-Madina Duniyaa ka koi shaher ho kis tarah mumasil? Jab Khlode bareen bhe nahi ham Shaan-e-Madina kar dejeye Deedar say ankhein meri thandi Ay Jaan-e-Jahan Sayede Sultaan-e-Madina Ay kaash! mubaligh mein banoo Deen-e-Mubeen ka Sarkaar! Karam Azpae Hassan-e-Madina(Radi Allah Anho) Qadmoon mein bulalejeye ATTAR ko Aaqa Aur is ko banalejeye mehmaan-e-Madina ATTAR ko dolat na haqoomat ki talab hai Daydejeye Baq'qe is ko to Sultaan-e-Madina | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 5:35 | |
| Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool kiKyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki Tarpa kay Un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki Sarkar nay bula kay Madina dikha dia Ho ghi mujhay naseeb Safa"at Rasool ki Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro(wahabiyoo) Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki To hai Ghulam Un ka Ubad-e-Raza teray Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 5:37 | |
| Aaqa Ka Milad Aaya Ya RasoolAllah Ya HabibAllah Salla Alaika Ya RasoolAllah Wassallam Alaika Ya HabibAllah Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah Charoon Taraf Noor Chaya, Aaqa Ka Milad Aaya, Khushiyon Ka Pegham Laya, Aqa Kaa Milad Aya. Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah. Shams-O-Qamar Aur Taaray, Kyun Na Hon Khush Aaj Saaray, Unsay He To Noor Paaya, Aaqa Ka Milad Aaya. Khushiyan Manatay Hain Wohi, Dhoomain Machatay Hain Wohi, Jin Par Hua Unka Saaya, Aaqa Ka Milad Aaya. Ghar Ko Sajatay Hain Wohi, Jhanday Lehratay Hain Wohi, Jin Par Hua Unka Saaya, Aaqa Ka Milad Aaya. Hai Shaad Har Ek Muslimaan, Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan, Galiyoon Ko Bhi Jagmagaya, Aaqa Ka Milad Aaya. Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhein, Noori Bashar Jaanay Jou Unhe, Naara Ussi Nay Lagaya, Aaka Ka Milad Aya Jou Aaj Mehfil Mein Aaye, Mun Ki Muradein Woh Paye Sab Par Karam Ho Khudaya, Aaqa Ka Milad Aaya. Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah. Ghous Ul Wara Aur Data Nay, Mere Raza Aur Khuwaja Ne, Sab Nay He Din Yeh Manaya, Aaqa Ka Milad Aaya. Na?at-e-Nabi Tum Sunao, Ishq-e-Nabi Ko Barhao, Hum Ko Raza Ne Sikhaya, Aaqa Ka Milad Aaya. Jis Ko Shajar Jantay Hain, Kehna Hajar Mantay Hain, Aisa Nabi Hum Ne Paya, Aaqa Ka Milad Aaya. Dil Jagmaganay Lagay Hain, Sab Muskuranay Lagay Hain, Ik Kaif Sa Aaj Chahya, Aaqa Ka Milad Aaya. Kar Ae Ubaid Unki Midhat, Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat, Tu Ne Muqqadar Yeh Paaya, Aaqa Ka Milad Aaya. Charoon Taraf Noor Chaya, Aaqa Ka Milad Aaya, Khushiyon Ka Pegham Laya, Aqa Kaa Milad Aya. Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah. | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 5:38 | |
| Chamka Mah-e-Noor Ka Hilal Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba, Ya Habib Allah Marhab Marhaba. Bay kasun say hai jinhay pyar wohi aaye hain, Jo do aalam kay hain ghum khaar wohi aaye hain. Ek nazar asmaan per daal, marhaba, Chamka mah-e-noor ka hilal, marhaba marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba, Ya Habib Allah Marhab Marhaba. Jhanday lagao galiyan sajao, Karlo charaghan ghar jagmagao, Razi ho ga Rab-e-Zuljalal (SWT), marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba, Ya Habib Allah Marhab Marhaba. Mehfil sajaayein naatein sunaein, Aaqa ki aamad ki dhoomain machayein, Roz-o-shab yehi ho apna haal, marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba, Ya Habib Allah Marhab Marhaba. Laaraib nabiyon kay saalar aaye, Aaye do aalam k ghum khaar aaye, Shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba, Ya Habib Allah Marhab Marhaba. Aashiq key dil jagmaganay lagay hain, Dekho zara muskuranay lagay hain, Deedni hain unkay khad-o-khaal, marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba Sadqa wiladat ka jalwa dikha do, Dil ki lagi ab to aaqa bujha do, Dikhla do apna ab jamaal, marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba, Ya Habib Allah Marhab Marhaba. Jood-o-sakhawat hai aadat tumhari, Phailaaye daaman kharay hain bhikari, Kar do karam amna k laal, marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba, Ya Habib Allah Marhab Marhaba. Jaam-e-shahadat piya hai jinho ne, Ahle-sunan ko jila di unho na, Yaad aayengay wo har saal, marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba Shaadi kay naghmay sunatay rahengay, Jashn-e-wiladat manaatay rahengay, Waar daingay tum pay jaan-o-maal, marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba Parhnay laga jab Ubaid un ki naatein, Honay lageen chaar soo us ki baatein, Faiz-e-Raza ka hai sub kamaal, marhaba. Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 5:39 | |
| Idhar Bhi Nigaahe Karam Ghous-e-Azam Idhar bhi nigaahay karam Ghous-e-Azam, Karo door ranj-o-alam Ghous-e-Azam. Ghira hoon mein har samt se ranj-o-ghum mein, khudara karam, kar karam, Ghous-e-Azam. Wah kiya martaba hai suay bala Tera, Unchay unchoon kay saroon say qadam aala Tera, Jo wali qabl thay baad huey ya houn gay, Sub adab rakhtay hain dil mein meray aaqa Tera, Sar bhala kya koi janay kay hai kaisa Tera, Aulia mertay hain aakay woh hai talva Tera Woh rutba Tera hai kay jitnay wali hain, Sabhi tere zair-e-qadam Ghous-e-Azam Hai gardan mein teri ghulami ka patta, Tujhi se hai mera bharam Ghous-e-Azam Tera hoon mein tera mere is kahe ka, Sar-e-hashr rakhna bharam Ghous-e-Azam Madinay se najdi bala ko nikalo, Karo un kay sar ko qalam Ghous-e-Azam Mera har maraz door ho jaye piyaare Karo aisa aakar k dam Ghous-e-Azam Mere chaand mera muqaddar sanwaaro, Bohot ho gaye paich-o-ghum Ghous-e-Azam Mujhe khwaab mein aa ke jalwa dikha do, Karo aaj ki shab karam Ghous-e-Azam. Nazar jab uthaaoon nazar aaye mujh ko, Madinay ka dilkash haram Ghous-e-Azam Jila paaye ga dil Ubaid-e-Raza ka, Zara rakh do apna qadam Ghous-e-Azam | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 5:40 | |
| Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola Gunaahon ki aadat chura mere mola, Mujhe naik insaan bana mere Mola Jo tujhko, jo teray Nabi ko pasand hai, Mujhay aisa banda bana mere Mola, Mujhe naik insaan bana mere Mola. Tu masjood mera, mein sajid hoon tera, Tu malik mein banda tera mere Mola, Mujhay neik insan bana meray Mula. Tu lay ga agar adl se kaam apne, Mein hoon mustahiq naar ka mere Mola. Jo rehmat teri shaamil-e-haal ho to, Molaaaaa, Molaaa, Molaaa, Molaaa, Thikana hai jannat mera mere Mola (Ameen). Tujhe to khabar hai mein kitna bura hoon, Tu aibun ko mere chupa meray Mola, Mujhe naik insaan bana mere Mola. Meri ta-qiamat jo naslein hoin Ya Rab, Hon sab Ashiq-e-Mustafa meray Mola, Mujhe naik insaan bana mere Mola. Na muhtaj kar tu, jahan mein kisi ka, Mujhe muflisi say bacha mere Mola. Hain kaabay pe nazrein Ubaid-e-Raza ki, Ho maqbool har ek dua mere Mola. Mujhe naik insaan bana mere Mola. | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:01 | |
| Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool KiKyun kar na meray dil mein ho ulfat Rasool a_0007ki, Jannat mein lay kay jaey ghi chahat Rasool ki Chalta hoon mein be qafelay walo ruko zara, Milnay do bus mujhay bhi ijazat Rasool ki Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasul ki, Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool ki Phochain jo deen-o-iman Nakerain qabr mein Us waqt meray lab pay ho midhat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool ki Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki Qabr mein Sarkar aayein to mein qadmoon mein giroon Gar farishtay bhi uthaein to mein unsay yoon kahoon Ab to paye naaz say mein aye farishto kyon uthoon Mar kay pohncha hoon yahan is dilruba kay wastay Tarpa kay un kay kadmoon mein mujh ko gira day shok Jis waqt ho lahad mein ziyarat Rasool ki Jannat mein lay kar jaey gi chahat Rasool ki Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool a_0007ki Sarkar (SAW) nay bula kay Madina dikha dia, Ho ghi mujhay naseeb, shafa?at Rasool ki Jannat mein lay kar jaey gi chahat Rasool ki Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool a_0007ki Ya Rab dikha day aaj ki shab Jalwa e Habib Ik bar to aata ho ziarat Rasool ki In ankh ka warna koi hasrat hi nahin hai, Sarkar tumhara woh khazaiba nazar aaye, Ya Rab dikha day aaj ki shab Jalwa e Habib Ik bar to aata ho ziarat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool (SAW) ki Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki Damen mein un kay lay lo pannah aaj munkiro, Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki To hai ghulam un ka Ubad-e-Raza teray, Mahshar mein ho ghi saath himayat Rasool (SAW) ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool (SAW) ki Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasul (SAW) ki | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:02 | |
| Lagiyan Ne Mojan Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Aaqa De Gulaman Da Main Adna Ghulam Aan Loki Kehnde Khas main Te Amaan Tu Wii Aam Aaan Parda je Paaya Hai Te Paayi Rakhin Sohniya Changay Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Lagiyan Ne Mojan Hun Laayi Rakh Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Hashr Dihare Jaddon Amlan To Tolran Sharm de Maare Main Tay Kujh Wii Nayi Bolna Damin Wich Apnay, Chupayi Rakhin Soniya Change Aan Ke Manday Aan Nibhayi Rakhin Soniya Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Kisay Nu Main Apna Dukhra Sunaya Nayi Tere Baajon Kisse Meno Seene Naal Laaya Nayi Seene Naal Laaya Aey Te Laaye Rakhin Sohnya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Naa?m Tera Le Ke Aaqa, Shaan Main Wii Payi Aay Teray Haath Dor Sanyaan Apay Tu Charhai Aay Charhi Hui Guddi Nu Charhai Rakhein Sohnaya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Lagiyan Ne Mojan Honr Laayi Rakh Soniya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya Ziya Teri Aal Da Banya Ghulam Aey Aeday Naloon Aur Lena Ki Inam Aey Banya Ghulam Hai Banayi Rakhein Sohnaya Change Aan Ke Mande Aan Nibhayi Rakhin Soniya | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:03 | |
| Main Madinay ChalaMain madinay chala, mein Madinay chala Phir karam ho gaya main Madinay chala Kaif sa cha gaya main madinay chala Jhoomta jhoomta main madinay chala Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar Chahiye aur kya main Madine chala Darkano tumhi kaho waqt woh kaisa hoga Samanay ankhon kay jab gunbad-e-sabz ho ga Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar Kya suroor aega main Madinay chala Jab gumbad-e-khizra pe woh, pehli nazar gayi Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur Paye ga dil jila, main Madinay chala Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi Larkharaata hua main madinay chala Mere Siddique Umar ho salam aap par Aur rehmat sadaa main Madinay chala Woh uhod ki zammen jis k ander makeen Mere hamza piya main Madinay chala Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar Ab tou dai dai Khuda main Madinay chala Saaqia mai pila main madinay chala Mast-o-bekhud bana main Madinay chala Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar Daikho daikho zarra main Madinay chala Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe Tum bhi daikho zarra main Madinay chala Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher Itni jaldi bhi kya main Madinay chala Haath uth?tay rahain mujhko daitay rahain Woh talab se siwa main Madinay chala Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor Bakhswanay chala main Madinay chala Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen Mere Madani Zia main Madinay chala Un k minaar par jab paray gi nazar Kya saroor aega main Madinay chala Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar Kya saroor aega main Madinay chala Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay Jab chalay qaafila main Madinay chala Kya karega idher baandh rakht-e-safar Chal obaid-e-raza main Madinay chala. Kya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza Soch tou kuch zarra main Madinay chala Main tou bus yoon hi tha main ki aukaat kya Qaafia yeh mila main Madinay chala Lutf tou jab milay mujh se murshid kahain Chal Obaid-e-Raza main Madinay chal | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| | | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:20 | |
| Parho Durood Ke Moulood Ki Ghari Aayiparho durood kay molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik har ek saa?at-o-lamha hai qeemti is ka har ek raat se barh kar mila isay rutba isi liye to ye shab behtreen kehlaayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik Khuda ka shukr karo or parho durood un per k aaj laaye hain tashreef hadi-o-rehbar zamanay bhar mein hai mash?hoor jin ki yaktayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik chhatay hain badal-e-ghum khushian sath laayi hain har ek chehray pe ab muskurahat aayi hai har ek dil mein khushi ki baji hai shehnai parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik jahan mein subz parchamon ki bahar aayi hai or aashiqon ne makaan har gali sajaai hai hai shaad shaad nabi ka har ek tamannayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik jahan goonj utha marhaba k naaron se khushi hai kaisi na poocho ye ghum k maaron se yehi wohi raat hai jo kaif ka samaan layi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik unhi k dar se darya-e-jood behtay hain wo aaye jo nahi saail ko nahi kehte hain sakhawat aisi ataa Rab ne in ko farmayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik shab-e-wiladat-e-sarkar ka hai ye sadqa k mil gaya hai sana ka ubaid ko jazba musafir is ki ye mehnat jabeen to rang laayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:21 | |
| Unki Mahek Ne Dil Kay Ghunchey Khila Diye HainUnki Mahek Ne Dil Kay Ghunchey Khila Diye Hain Jis Raah Chal Diye Hain, Koochey Basa Diye Hain Ik Dil Hamara Kya Hai, Aazaar Uska Kitna Tum Ne to Chaltey Phirtey, Murdey Jila Diye Hain Unkay Nisar Koi, Kaisey Hi Runj Mein Ho Jab Yaad Aa Gaye Hain, Sab Gham Bhula Diye Hain Asra Mein Guzrey Jis Dam Berey Pe Qudsiyon Ke Hone Lagi Salaami, Parchum Jhuka Diye Hain Jab Aa Gayin Hai Josh E Rehmat Pe Unki Ankhen Jalte Bujha Diye Hain, Rote Hansa Diye Hain Mere Karim Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga Dariya Baha Diye Hain, Durbe Baha Diye Hain Allah Re Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga Ro, Ro Ke Mustafa Ne, Dariya Baha Diye Hain Mulk E Sukhn Ki Shahi Tum Ko Raza Musallam Jis Simt Aa Gaye Hain, Sikke Bitha Diye Hain Hum Se Faqir Bhi Ab Pheri Ko Uthte Hongey Ab to Ghani Ke Dar Par, Bistar Jama Diye Hain Aaney Do Ya Dubo Do Ab to Tumhari Janib Kashti Tum Hi Pe Chori, Langar Utha Diye Hain Dulha Se Itna Kehdo Pyarey Sawari Roko Mushkil Mein Hain Baraati, Purkhar Laa Diye Hain | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:22 | |
| Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath HoYa Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho Jub Pare Mushkil Sha?e Mushkil Kusha Ka Saath Ho Ya Ilaahi Bhool Jaun Naza?Ki Takleef Ko Shaadiye deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aaey Sakht Raat Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho Ya Ilaah Garmi-e-Mahshar Seh Jub Bharke Badan Daaman-e-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho Ya Ilaahi Nama-e-A?maal Jub Khulne Lagay, Aib-e-Pooshe Khalq Sat?taare Khata Ka Saath Ho Ya Ilaahi Rang Laayein Jab Meri Be Baaqiyaan, Unki Neechi Nichi Nazroon Ki Hayaa Ka Saatho Ho Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Say Saahib-e-Kauthar Sha?e Jood-o-ataa Ka Saath Ho Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer Par Chalna Pare ?Rabbe Sallim? Kehne Waale Ghamzudah Ka Saath Ho Ya Ilaahi Jo Dua?e Nek Hum Tujhe Se Kare, Qudsiyo Ke Lub Se Aameen Rab?bana Ka Saath Ho Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa?e Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho Ya Ilaahi Sard-e-Mehri Par Ho Jab Khurshid-e-Hashr Sayyad-e-Besaaya Ke Zille-e-Liwaa Ka Saath Ho Ya Ilaahi Jub Pare Mahshar Mein Shore Daar-o-Geer Aman Denay Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurm Me Un Tabassum rez-e-honto ki Dua ka Saath Ho Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-e-Bejaa Rulaaye, Chashme Giryaane Shafi-e-Murtaja Ka Saath Ho Ya Ilaahi Le Chale Jub Dafan Karne Qabar Me Ghause-e-Azam Peshwa?e Awliya Ka Saath Ho | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:22 | |
| Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam AlaikaSehr ka waqt tha, sehar ka waqt hai Masoom kaliyaan muskurati hain Hawwaein khair e maqtam kay taranay gungunati hain Farishtoon ki salami denay wali fauj gati thi Janab e Amina sunti thein, yeh awaz aati th Ya Nabi salaam Alaika Ya Rasool salaam Alaika Ya Habib salaam Alaika Swalawatullah Alaika Rehmatoon kay taj walay do jahan kay raj walay aarsh ki mairaj walay aasiyoon ki laj walay Ya Nabi salaam alaika Ya Rasool salaam alaika Ya Habib salaam alaika Swalawatullah alaika Mustafa khir ul wara ho sarware har do sara ho apnay achoon ka tasaduk hum gadoon ko bhi niba ho Ya Nabi salaam Alaika Ya Rasool salaam Alaika Ya Habib salaam Alaika Swalawatullah Alaika Ho mubarak ahle imaan ho gayi subhay baharaan ho gaya har ghar charaghan Swalawatullah alaika. Amina Bibi ka jaya baharwi tareekh aaya, subhe saadiq nay sunaya Swalawatullah alaika As-tufailay Ghouse Azam Ganj Bakhsay faizay azam sadqaye Imam e Azam door houn sabh hi kay ranj o gham Ya Nabi salaam Alaika Ya Rasool salaam Alaika Ya Habib salaam Alaika Swalawatullah Alaika | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:23 | |
| Zameen Maili Nahin Hoti, Zaman Maila Nahin Hota Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota Muhammad kay gulamon ka kafan maila nahi hota Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota Muhammed ke gulamon ka kafan maila nahi hota. Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre Nabi ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota Jo Naam-e-Mustafa a_0007chumein, nahi dukhti kabhi ankhein Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota Nabi ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai Sana-e-Mustafa karne se fan maila nahi hota Muhammad a_0007ke gulamon ka kafan maila nahi hota | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 6:24 | |
| Taiba Kay Jaane WalayAie gunbad e khazra kay makeen, Meri madad ker Ya phir yeh bata, Kon mera teray siwa hai. Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Taiba Ke Jane Wale Taiba Kay Jaane Walay Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara Dono jahan mein iska, hai app hi sahara Halaat e pur aalam say, har dam guzar raha hai Aur kanptay labhoon say, faryaad ker raha hai Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana x2 Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn, Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn, Mein dil kab say, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai. Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Teiba Ke Jane Vale Taiba Kay Jaane Walay Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay. Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say. Taiba Ke Janay Wale Taiba Ke Janay Wale Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon. Katoun hazar chal kar, taiba ki har gali kay Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay. Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber Aalim kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab say Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Taiba Ke Janay Wale Taiba Ke Janay Wale | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 8:11 | |
| Tera Khawan Mein Tere Geet Gawan Tera khawan main Tere geet gawan, Ya Rasoolallah Tera khawan mein Tere geet gawan, Ya Rasul allah Tera milaad mein kyon na manawaan, Ya Rasolallah Tera milaad mein kyon na manawaan, Ya RasulallaH Halima kar qadi vekhay, kadi Sarkaar nu wakhay Main keri sayj Tere lai sajawan, Ya Rasoolallah. Tera milad main kyun na manawan, Ya Rasulallah Mera dil vi aie chahnda aey, Tusi merey we ghar aao, Par mein kerey maan thi tainu bulaanwaan, Ya Rasoolallah Jagaao bhaag merey vi Abu Ayyub dey vangoon Muqaddar os da kithon liyawan, Ya Rasoolallah Mayn kujh vi nai jay Teray naal meri koi nisbat nahin Mayn sab kuch haan je mayn Tera sadaawan, Ya Rasoolallah Suna hai Aap har ashiq kay ghar tashreef latay hain Meray ghar mein bhi ho jaye charaghan, Ya Rasulallah Madinay paak day under meri ayho eibadar hai Teray rozay toon na nazran hatawaan, Ya Rasulallah Madiney aake ho raat din meri ibaadataein, Tere roze ton na ankhiyaan hattanwaan, Ya Rasoolallah Zamaane bhar ka yeh qaidaah hai ke jis ka khaana usi ka gaana Tumhaara sad?qah hi kha rahe hain, tumhaare hi geet gaa rahe hain Mayn har dum teriyaan na?ataan sunaawa, Ya Rasoolallah Khuda vi teri yaad karta sanaawa, Ya Rasoolallah Ajal de aun ton pehle je Teri deed ho jaave Mayn aesi maut ton qurbaan jaawaan, Ya Rasoolallah Jina ne tere yaan qadmaan nu sine naal laayaaey, Nasiba waliyan honeeya oththaawaan, Ya Rasoolallah, Keven sud aashna tehrir ho jaaey zahoori d | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 8:13 | |
| Naseeba Khol De MeraNaseeba khol de mera, mey vayka rouzahTera Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah Tera Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah Tera Kaddi o ghariyan vee avan, Madinay ral mil jawan Mey naata parda parda, mey veyka rouzah Tera Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah Tera Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah Tera Mey veyka rouzay dee jaali, o jaali karma wali Dikha de meynu khuda ra, mey veyka rouzah Tera Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah Tera Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah Tera Ghouas piya ka sadqa, Khwaajah Fareed da sadqa Way qutb Madiney da sadqa, mey veyka rowa Tera Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah Tera Naseeba khol de mera, mey vayka rouzahTera Khabar kadun bulana, meynu mehboob Madiney cheytee sadlo aaqa, mey veyka rouzah tera Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah tera Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah tera Madina lagta hey piyaara, Madina dil da sahara Madina le chal meynu, mey veyka rouzah Tera Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah Tera Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah Tera Ik wari jaa key Madiney, murna fir main aawan Soney tey dar tey jaa key, mey veyka rouzah Tera Bulaaley meynu vee dar tey, mey veyka rouzah Tera Naseeba khol de mera, mey vayka rouzah Tera | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 8:14 | |
| Noor Wala Aaya Hai Har zara jagmagaya hai kay noor wala aaya hai Har sue ujala chaya hai kay noor vala aya hain Har zara jagmagaya hai kay noor wala aaya hai Thi muntizar yeh dunya jis shah e wala ki Jinn o bashar nay gaya hai kay noor wala aaya hai Thi muntizar yeh dunya jis shah e wala ki Thehri hui thein nudyan, jo aaj chal pari hain Barah Rabi ul awal ko noor wala aaya hai Thehri hui thein nudyan jo aaj chal pari hain Ghar ghar charaghan karlo, aamad hai aaqa ki Har dil nay khushi say gaya hai kay noor wala aaya hai Ghar ghar charaghan karlo aamad hai aaqa ki Yeh aaj khushiyon ka mosam hai arsh o farsh per Naray lagay hain aamad kay haan noor wala aaya hai Yeh aaj khushiyon ka mosam hai arsh o farsh per Taiba ka chand chamka jo rehber hai hum sub ka Aaqa ko hum nay paya hai, kay noor wala aaya hai Taiba ka chand chamka jo rehber hai hum sub ka Kar khush sukhan ali ko aie Rab e Zuljilal Jis nay lagaya nara hai kay noor wala aaya hai Kar khush sukhan ali ko aie rab e zuljilal | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 8:40 | |
| Main To Panjtan Ka Ghulam Hoon Main to panjtan ka ghulam hoon, mein to panjtan ka ghulam hoon Mein ghulaam ibn-e-ghulam hoon, mein ghulaam ibn e ghulam hoon Main to panjtan ka ghulam hoon Mujhe ishq hai to Khuda se hai Mujhay ishq hai to Rasool say Yeh karam hai sara batool ka Mere moon say aye mehak sada Jo mein naam loon tera jhoom kay Mein to panjtan ka gulaam hoon Kiya baat e raza us chamanistanay karam ki Zahra hai kali jis mein Hussain ore Hassan phool Mein to panjtan ka ghulam hoon Mein ghulaam ibn-e-ghulam hoon Mujhe ishq sarv o samal se hai Mujhe ishq saray chaman say hai Mujhe ishq unkay watan say hai Mujhay ishq unki galii say hai Mujhe ishq hai to Ali se hai Mujhe ishq hai to Hassan se hai Mujhe ishq hai to Hussain say Mujhay ishq shah e Zaman say hai Mein to panjtan ka ghulam hoon Mujh pay kitna niyazi karam ho gaya Dunya kehnay lagi Punjtan ka gadha Iss gharanay ka jabse mein nokar hua Sab say achi meri nokari ho gayi Mein to panjtan ka ghulam hoon Hua kaisay tan say woh sar juda Jahan ishq ho wahin Karbala Meri baat unhii ki baat hai Meray saamne wohi zaat hai Wohi jinko Sher E Khuda kahein Jinhein Bab e Salle alaa kahein Wohi jinko Aale Nabi kahein Wohi jinko Zaat e Ali kahein Wohi pukhtha hain mein to khaam hoon Mein to panjtan ka ghulam hoon Mera shair kiya mera zikr kiya Meri baath kiya meri fikr kiya Meri baath unke sabab se hai Mera sher unke adab se hai Mera zikr unke tufeil se Meri fikr unke thufel se Kahan muj men itni sakhat bala Keho man kabath ka bhi hak ada Mein to panjtan ka gulaam hun | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Thu 24 Dec 2009 - 8:40 | |
| Balaghal Ula Bekamaalaihi Balaghal Ula Bi Kamalihi, Kashafad Duja Bi Jamalihi Hasunat Jameeu Khisalihi, Sallo Alaihi Wa aalihi Main Behak Sakoon Yeh Majaal Kiya, Mera Rahmnuma Koi Aur Hai Mujhe Khoob Jaan Lein Manzilein, Ye Shikasta Pa Koi Aur Hai Jo Tumhari Jali Se Muttasilm, Hai Sutho Ke Picche Khajil Khajil Nahi Main Nahin Woh Marize Dil, Na Meray Siwa Koi Aur Hua Meri Iltija Hai Yeh Dosto, Kabhi Tum Jo Soove Haram Chalo To Bana ke Sarko Qadam Chalo, Ke Yeh Rasta Koi Aur Hai Hai Tujhe Khabar Shahe Einoaan, Meri Wajhe Raahate Qalbo Jaan Na Tere Siwa Koi Aur Tha, Na Tere Siwa Koi Aur Hai Ye Ghuman Tha Kahin Saal Say, Yeh Yaqeen Hai Kahin Roz Se Meray Dil Se Ghumbad e Sabz Ka, Yeh Muamla Koi Aur Hai Main Jo Door Arze Haram Se Tha, Hoi Khulde Gosh Haseen Sada Hai Isi Mein Majide Be Nawa, Ke Yeh Kaafila Koi Aur Hai | |
| | | muhammad khurshid ali Moderator
Posts : 371 Join date : 05.12.2009 Age : 42 Location : Rawalpindi
| | | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 4:17 | |
| hum ko bulana ya Rasool Allah hum ko bulana ya Rasool Allah hum ko bulana ya Habib Allah kabhi to subz gumbad ka ujala hum bhi daikhein ge hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge hum ko bulana ya Rasool Allah dharak uthay ga ye dil ya dharakna bhool jaye ga dil-e-bismil ka us dar per tamasha hum bhi daikhein ge hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge hum ko bulana ya Rasool Allah adab se haath baandhay un k rozay per kharay hongay sunehri jaalion ka yun nazara hum bhi daikhein ge hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge hum ko bulana ya Rasool Allah dar-e-dolat se lotaya nahi jata koi khali wahan khairat ka butna Khudaya hum bhi daikhein ge hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge hum ko bulana ya Rasool Allah barasti gumbad-e-khazra se takrati hui boondain wahan per shaan se barish barasna hum bhi daikhein ge hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge hum ko bulana ya Rasool Allah guzaaray raat din apnay isee umeed per hum ne kisi din to jamal-e-roo-e-zeba hum bhi daikhein ge hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge hum ko bulana ya Rasool Allah pohanch jayengay jis din aye ujagar un k qadmon mein kisay kehte hain jannat ka nazara hum bhi daikhein ge hamein bulwayengay aaqa madinah hum bhi daikhein ge hum ko bulana ya Rasool Allah | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 9:57 | |
| Shukar Khuda ke aaj ghadi iss safar ki hai Jis par nisaar jaan o falah zafar ki hai
Thanks to Allah that the time for that journey has arrived That journey which is the essence of success
Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai Na shukr yeh to dekh Azeemat kidhar ki hai
This journey is full of pain and difficulties O ungrateful! realize the magnificence of the destination you want to reach
Man Zara Tubati Wajabat Lahu Shaf'atee (Hadith) Un par Durood jin se naveedan bashar ki hai
My Intercession is obligatory on the one who has seen my Shrine (Hadith) Blessings be on Him Who has given mankind this good news
Iss ke tufail Haj bhi Khuda ne karadiye Asl muraad Haazri Iss Pak Dar ki hai
Through his intervention, Allah has enabled me to perform Hajj MY REAL AIM IS TO VISIT THE HOLY SHRINE
Zikr-e-KHUDA INSE juda chaho najdiyo WALLAH Zikr e HAQ nahi kunji saqar ki hai
O najdi! If you separate his remembrance from that of Allah By Allah! This is not remembrance of the Almighty but the key to hell
Bey Inke waaste KHUDA kuch Ata karay Hasha ghalat yeh hoos bay-saqar ki hai
If one thinks that Allah will grant anything without his intervention Not at all! This is the lust of the shortsighted
Jannat me akay naar me jata nahi koee Shukar Khuda naveed najaat wa zafar ki hai
Once entering Heaven (Riyaadul Jannah) one does not go to hell Thanks to Allah for this good news about salvation
Agay rahi ataa woh bay qadar talab to kya Adat yahaan ummeed se bhi peshtar ki hai
If my demands are fulfilled before I ask, so what? Here, I have the intention to get more than I wish
Bay maange dene wale ki ne'mat me gharq hai Maange se jo mile fahem is qadar ki hai
I am drowned in the Grace of the Generous who gives without asking Who can realize what can be obtained on asking?
Aa kuch suna day Ishq ke bolaun me Ai Raza Mushtaq tab'ay lazzat soz-e-jigar ki hai
Come on O Raza! Say something in the language of love I am longing to versify the feeling of my burning heart | |
| | | Administrator Admin
Posts : 1220 Join date : 23.02.2009 Age : 44 Location : Rawalpindi
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS Sat 26 Dec 2009 - 9:59 | |
| Zammino Zamaan tumhare liye Makino Makan tumhare liye Chunino Chuna tumhare liye Bane do jahan tumhare liye
Dahan me zuban tumhare liye Badan me he Jaan tumhare liye Hum aye Yahan tumhare liye Uthe bhi Wahan tumhare liye
Farishte Khidam Rasoole Hashm Tamame Umam Ghulame karam Wajoodo Adam Haduso kidam Jahan me aya tumhare liye
Kalimo Naji Masiho Safi Khalilo Razi Rasoolo Nabi Atiko wasi Gani-o-Ali Sana ki Zuban tumhare liye
Asaalate kul Imaamate kul Siyaadate kul Imaarate kul Hukoomate kul Wilayate kul Khuda ke Yahan tumhare liye
Tumhari Chamak tumhari Damak Tumhari Jhalak tumhari Mahak Zammino Falak Simako Samak Me sikka rawa tumhare liye
Ye Shamso Kamar ye Shaamo Shar Ye bargo sajar ye baago samar Ye tewo sipar ye Taajo kamar Ye hukme Rawan tumare liye
Na Roohe Ami na Arshe bari Na Laohe Mobin koyee bi kahin Khabar hi nahin jo Ramz khile Azal ki Nihan tumhare liye
Jina me Chaman Chaman me Saman Saman me Phaban Phaban me Dulhan Sazaa#146;e Mahan par aise Minan Ye amno amaa tumhare liye
Khalilo Naji Masiho Safi Sabhi se kahin kahin bhi banin Ye be-khabari ke Khalk phiri Kahan se kahan tumhare liye
Ishaare se Chand chir diya Doobe huwe Khud ko pher liya Gaye huwe Din ko Asr kiya Ye Taabo Tawaan tumhare liye
Sabbah woh chale ke Baag phale Wo Phool khile ke din ho bhale Liwa ke tale Sana me khule Raza ki zuban tumhare liye | |
| | | Sponsored content
| Subject: Re: LYRICS OF SOME NAATS | |
| |
| | | | LYRICS OF SOME NAATS | |
|
Similar topics | |
|
| Permissions in this forum: | You cannot reply to topics in this forum
| |
| |
| |