Peysh-e-Haq Mu(zh)da Shafa’at Ka Sunatay Jaayeingay
Aap Routay Jaayeingay Hum Ko Hasaatay Jaayeingay
Dil Nikal Jaanay Kee Jaa Hai Aah! Kin Aankhoo(n) Say Wo
Hum Say Piyaaso(n) Kay Liyay Darya Ba-ha-tay Jaayei(n)gay
Haa(n) Chalo Hasrat Zad-oo(n) Suntay Hai(n) Wo Din Aaj Hai
(Th)ee Khabar Jisskee Kay Wo Jalwa Dikhaatay Jaayei(n)gay
Ku(ch) (Kh)abar Bhee Hai Faqeero(n) Aaj Wo Din Hai Kay Wo
Na’mat-e-(Kh)uld Apnay Sadqay Mey(n) Luta-Tay Jaayei(n)gay
Khaak Uftado Buss Unn Kay Aanay Hee Kee Dayr Hai
(Kh)ud Wo Girr Kar Sajda(h) Mey(n) Tum Ko Utha –Tay Jaayei(n)gay
Wus’atey(n) Dee Hai(n) (Kh)uda Nay Daaman-e-Mehboob Ko
Jurm (Kh)ultay Jaayei(n)gay Aur Wo (Ch)upatay Jaayei(n)gay
Lo Wo Aayay Muskuratay Hum Aseero(n) Kee Taraf
(Kh)irman-e-Is’iyaa(n) Pay Bij-lee Gira-Tay Jaayei(n)gay
Hush-ar Tak Daa-ley(n)-gay Hum Pey-Da-Ish-e-Maula Kee Dhoom
Miss-Lay Faa-Ris Najd Kay Qil Aey Gira-Tay Jaayei(n)gay
Khaak Ho Jaayei(n) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza
Dum Mey(n) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna-Tay Jaayei(n)gay